Friday 24 January 2014

Banda’ay Mazdoor Ko Ja Kar Mera Pegham De

Banda’ay Mazdoor Ko Ja Kar Mera Pegham De
Khizar Ka Pegham Kya, Hai Ye Peyam-E-Kainat


Ae Ke Tujh Ko Kha Gya Sarmayadar-E-Heela Gar
Shakh-E-Aahu Par Rahi Sadiyon Talak Teri Barat


Dast-E-Doulat Afreen Ko Muzd Yun Milti Rahi
Ehl-E-Sarwat Jaise Dete Hain Gharibon Ko Zakat


Sahir-E-Muut Ne Tujh Ko Diya Barg-E-Hasheesh
Aur Tu Ae Bekhabar Samjha Isse Shakh-E-Nabat


Nasal, Qoumiat, Kalisa, Saltanat, Tehzeeb, Rang
Khawajgi Ne Khoob Chun Chun Ke Banaye Muskirat


Kat Mara Nadan Khiyali Deota’on Ke Liye
Sukr Ki Lazzat Mein Tu Lutwa Gya Naqd-E-Hayat


Makr Ki Chalon Se Bazi Le Gya Sarmayadar
Intaha’ay Sadgi Se Kha Gya Mazdoor Maat


Uth Ke Ab Bazm-E-Jahan Ka Aur Hi Andaz Hai
Mashriq-O-Maghrib Mein Tere Dour Ka Aghaz Hai


Himat-E-Aali To Darya Bhi Nahin Karti Qabool
Ghuncha Saan Ghafil Tere Daman Mein Shabnam Kab Talak


Naghma’ay Baidari-E-Jamhoor Hai Saman-E-Aysh
Qissa’ay Khawab Awar-E-Iskandar-O-Jim Kab Talak


Aftab-E-Taza Paida Batan-E-Geeti Se Huwa
Asman! Doobe Huay Taron Ka Matam Kab Talak


Torh Dalain Fitrat-E-Insan Ne Zanjeerain Tamam
Doori Jannat Se Roti Chasm-E-Adam Kab Talak


Baghban-E-Chara Farma Se Ye Kehti Hai Bahar
Zakhm-E-Gul Ke Waste Tadbeer-E-Marham Kab Talak!


Karmak-E-Nadan! Tawaf-E-Shama Se Azad Ho
Apni Fitrat Ke Tajalli Zaar Mein Abad Ho

No comments:

Post a Comment