Saturday 18 January 2014

Raat Bhi Sari Jagtey Huie Guzri

Raat Bhi Sari Jagtey Huie Guzri
Shab E Gham Mien Shama Jaltey Huie Guzri

Apni Nakamiyon Pe Afsous Karte Huie

Aankhou Se Ashk Bahatey Huie Guzri

Ghamou Se Bharey Iss Tootey Huie Dil Ko

Dukhou Se Apney Bhelatey Huie Guzri

Jo Chord Gaya Tanha Safar Mien Mujhko

Usi Ek Bewafa Ko Bhulatey huie Guzri

Wo Na Aaiega Phir Laut K Yahan

Yehi Baat Dilko Samjhatey Huie Guzri

Har Lamha Qayamat Ki Manand Tehra

Har Ghari Mann Ko Tarpatey Huie Guzri

Khiza K Iss Phailey Huie Mausam mien

Saba Bhi Apni Nazrien Churatey Huie Guzri

Andhero Ney Apni Dastaan Sunaie Mujhko

Roshni Bhi Apni Kahani Sunatey Huie Guzri

Kuch Yadou Ney Neendien Na Aney Di

Kuch Raat Jagou Ki Baarish Mien Nahatey Huie Guzri

Kab Ka Bhula Diya Tha Mainey Jisey

Kal Hawa Bhi Aus K Geet Gungunatey Huei Guzari

Khuabou K Sahil Pe Tere Naam Ko

Kabhi Likhte Tou Kabhi Mitatey Huie Guzri

Nafrat Aur Pyaar Ki Kashmakash Mien Ye Zindagi

Kuch Rotey Guzri Toy Kuch Muskuratey Guzri

No comments:

Post a Comment