Friday, 24 January 2014

Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De

Ya Rab! Dil-e-Muslim Ko Woh Zinda Tamana De
Jo Qalb Ko Garma De, Jo Rooh Ko Tarpa De

Phir Wadi-e-Faran Ke Har Zarre Ko Chamka De
Phir Shauq-e-Tamasha De, Phir Zauq-e-Taqaza


Mehroom-e-Tamasha Ko Phir Dida-e-Beena De
Dekha Hai Jo Kuch Mein Ne Auron Ko Bhi Dikhla De


Bhatke Huway Aahu Ko Phir Soo’ay Haram Le Chal
Iss Sheher Ke Khugar Ko Phir Wusaat-e-Sehra De


Paida Dil-e-Weeran Mein Phir Shaurish-e-Mehshar Kar
Iss Mehmil-e-Khali Ko Phir Shahid-e-Laila De


Iss Dour Ki Zulmat Mein Har Qalb-e-Preshan Ko
Woh Dagh-e-Mohabbat De Jo Chand Ko Sharma De


Riffat Mein Maqasid Ko Humdosh-e-Surraya Kar
Khuddari-e-Sahil De, Azadi-e-Darya De


Be Lous Mohabbat Ho, Bebak Sadaqat Ho
Seenon Mein Ujala Kar, Dil Soorat-e-Meena De


Ehsas Anayat Kar Asaar-e-Mosibat Ka
Amroz Ki Shuarish Mein Andesha-e-Farda De


Main Bulbul-e-Nalan Hun Ek Ujre Gulistan Ka
Taseer Ka Saa’il Hun, Mauhtaj Ko, Data De!

No comments:

Post a Comment