Thursday 27 February 2014

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein,
Chahaton ki haddon se nikal jao gey ja k pardes mein,

Raakh ho jaye gi qurbaton mein mehakti hui zindagi,
Hijar ki aag mein tum pigal jao gay ja k pardes mein,

Sab ko bhoolo gay par apne bachon ki jab tum ko yaad aaye gi,
Khud bhi bachun ki soorat machal jao gay ja k pardes main.

Apni pehchan ko khawahishoon k sumandar main gar kho diya,
Dastaanon mein phir tum bhi dhal jao gay ja k pardes main.

Ain mumkin hai jab tum wahan jao tu aur barh jayein dukh,
Kis ne tum se kaha hai behal jao gay ja k pardes main.

Ye bata don tumhen sardiyan Aag barsayen gi us jaga,
Soch lo ab bhi tum, warna jal jao gay ja k pardes main.

Tum pe yoon hath daalein gi tanhayian aik waqt aaye ga,
koi aahat b ho gi dehal jao gay ja k pardes mein ...

No comments:

Post a Comment