Saturday, 7 June 2014

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi

Gali Main Dard Ke Purzay Talash Karti Thi
Mere Khatoot Ke Tukray Talaash Karti Thi

Kahan Gayi Wo Kunwari, Udaas Bee Aapa ?
Jo Gaon Gaon Mein Rishtay Talaash Karti Thi

Bhulaye Kon Azyat Pasandiyan Uski
Khushi Ke Dhair Main Sadmay Talaash Karti Thi

Ajeeb Hijr Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot’tay Pat’tay Talaash Karti Thi

Qayaam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udaas Rooh Ke Goshay Talaash Karti Thi

Tamaam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhay Talaash Karti Thi

Kuch Is Liye Bhi Mere Ghar Se Us Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hee Pyaaray Talaash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijr Ke Harbe Talaash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raizay Talaash Karti Thi

Duaein Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Baray Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe to Aaj Bataya Hai Baadlon Ne ”Wasi”
Wo Laut Aanay Ke Raastay Talaash Karti Thi

No comments:

Post a Comment