Gul-e-zuban pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Tumhari ‘’han’’pe
wohi sardiyon ka mosam hai
Darakhat par jo kabhi
choriyon se dala tha
Us ikk nishan pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Ye aik hum k nai
boliyan sada bolain
Teri zuban pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Sulag rahi hain dahan
me qabaen lafzon ki
Magar zuban pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Tumhare ane pe soraj
k hath chamken ge
Mere makan pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Har aik simat
pigalane lage hain sanate
Tere biyan pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Jahan jahan teri
khoshboo k rang bikhare hain
Wahan wahan pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Teri judai k pal se
howa hai ishaq hanok
K iss jahan pe wohi
sardiyon ka mosam hai
Wo ‘’han’’ kare gi
baharon me us ka wada tha
Us aik ‘’han’’ pe
wohi sardiyon ka mosam hai
Wo mujh ko sonmp gea
farqaten decembe ki
Darakhat-e-jaan pe
wohi sardiyon ka mosam hai
Hamare lab to duaen
jalae rakhate hain
Par asman pe wohi
sardiyon ka mosam hai
No comments:
Post a Comment