Kahan Ye Bas Mein K Hum Khud Ko Hosla Detay
Yahi Bohat Tha K Har Ghum Pe Muskura Detay
Yahi Bohat Tha K Har Ghum Pe Muskura Detay
Hawa ki Doorr Ulajti Jo Ungliyun Se Kabi
Hum Aasmaan Pe Tera Naam Tak Saja Detay
Hum Aasmaan Pe Tera Naam Tak Saja Detay
Hamarey Aks Mein Hoti Jo Zakhm-E-Dil Ki Jalak
Hum Aai’ney Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay
Hum Aai’ney Ko Bhi Apni Tarah Rulaa Detay
Humein Bhi Roshin’ion Par Jo Dastaras Hoti
Kabi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay
Kabi Chiragh Jalatey Kabhi Bhujaa Detay
Hamaray Paoon Hawa’on Ki Zadh Mein Thay Warna
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay
Guzarti Umer Ko Rukk Rukk kar Sadaa Detay
Ab Uski Yaad Say Uska Badan Tarashtey Hein
Wo Khuwaab B Tou Nahi Tha K Hum Bhula Detay
Wo Khuwaab B Tou Nahi Tha K Hum Bhula Detay
Ussi K Wastay MOHSIN Kahi Hai Taza Ghazal
Hum Uski Saalgira Par Ab Aur Kiya Detay
Hum Uski Saalgira Par Ab Aur Kiya Detay
No comments:
Post a Comment