Sumandar Mein Utarta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Aankhon Ko
Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tumhara Naam Likhne
Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Yaadon Ki
Khushbu Khirkiyon Mein Raqs Karti hay
Tere Gham Mein
Sulagta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Main Hans K Jheel
Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uss K Lagta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Na Jane Ho Gaya Hoon
Iss Qadar Hassas Main Kab Se
Kisi Se Baat Karta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Wo Sub Guzre Hue
Lamhat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo
Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Main Saara Din Bahot
Masroof Rehta Hoon Magar Junhi
Qadam Choukhat Pe
Rakhta Hoon Tou aankhen Bheeg Jaati Hain
Her Ek Muflis K
Maathe Per Alum Ki Daastanen Hain
Koi Chehra Bhi Parhta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaate Hain
Bare Logon K Oonche
Badnuma Aur Sard Mahlon Ko
Ghareeb Aankhon Se
Takta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tere Kooche Se Ab
Mera Ta’alluq Wajbi Sa Hay
Magar Jab Bhi Guzarta
Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Hazaron Mausamon Ki
Hukmarani Hay Mere Dil Per
Wasi Main Jab Bhi
Hansta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
No comments:
Post a Comment