Teri har baat se
anjaan bhi ho sakta hai,
Dil-e-wehshi,
dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,
Hum jahan beth ke
taaron se teri baat karain,
Woh kisi jism ka
dalaa’n bhi ho sakta hai,
Yeh jo ik bherriya*
jungle mein hua karta hai,
Kal isi bhaiss* main
insaan bhi ho sakta hai,
Ain mumkin hai jisey
dil ke bajaye thaamon,
Ab kisi shokh ka
damaan bhi ho sakta hai,
Titliyaan nochney* ka
jurm kiya hai jis ne,
Woh mere sheher ka
sultaan bhi ho sakta hai,
Aaj dil mein teri
yadon ke diye jalte hain,
Kal yehi rasta
sunsaan bhi ho sakta hai,
Jo tujhe aur kisi ka
hone nahin deta,
Yeh mere ishq ka
imkaan bhi ho sakta hai,
Yeh jo ik shakhs
tujhe dekh kar roshan hai bohat,
Bujh bhi sakta hai
yeh veeraan bhi ho sakta hai..
No comments:
Post a Comment