Friday, 8 August 2014

Hai Yaad Mujhe Nukta'ay Salman-e-Khush Ahang

Hai Yaad Mujhe Nukta-e-Salman-e-Khush Ahang
Dunya Nahin Mardan-e-Jafa Kash Ke Liye Tang

Cheete Ka Jigar Chahye, Shaheen Ka Tajasus
Ji Sakte Hain Be-Roshni-e-Danish-o-Farhang

Kar Bulbul-o-Taaus Ki Taqleed Se Tauba
Bulbul Faqat Awaz Hai, Taaus Faqat Rang!

*Salman : Masood Saad Salman – Ghaznavi Dour Ka
Naamwar Irani Shayar Jo Ghaliban Lahore Mein Paida Huwa.

No comments:

Post a Comment