ae hamala! ae faseel
e kishwar e hindustan
choomta ha teri
paishani ko jhuk ker aasman
tujh mein kuch paida nahin derina rozee ke
nishan
tu jawan hai gardish
e sham o saher ke darmiyan
aik jalwa tha kaleem
e toor e sina ke liye
tu tajali hai sarapa
chasm e beena ke liye
imtihan e didah zahir
mein kohistan hai tu
pasban apna hai tu,
dewar e hindustan hai tu
matla e awwal falak
jis ka ho vo diwan hai tu
suay khilwat gah e
dil daman kash e insan hai tu
barf ne bandhi hai
dastar e fazilat tere sar
khanda zan hai kalah
e meher e aalam taab par
teri umar e rafta ki
ek aan hai ehad e kuhan
wadiyon mein hain
teri kali ghataen khema zan
chotiyan teri surayya
se hain sargaram e sukhan
tu zameen per aur
pehna e falak tera watan
chasma e daman tera
aaeena siyyal hai
daman e mouj e hawa
jis ke liye rumal hai
abar ke hathon mein
rahwar e hawa ke waste
taziyana de diya barq
e sar e kohsar ne
Ae hamala koi bazi
gah hai tu bhi, jise
dast e qudrat ne
banaya hai aanasir ke liye
haye kya firat e
tarab mein jhoomta jata hai abar
feel e be zanjeer ki
surat ura jata hai abar
junbish e mouj e
naseem e subah gehwara bani
jhoomti hai nasha e
husti mein har gul ki kali
yun zuban e berg se
goya hai iss ke khamshi
dast e gulcheen ki
jhatak mein ne nahin dekhi kabhi
keh rahi hai meri
khamoshi hi afsana mera
kunj e khalwat khana
e qudrat hai kashana mera
aati hai nadi faraz e
koh se gati huwi
kausar o tasneem ki
moujon ko sharmati huwi
aaeena sa shahid e
qudrat ko dikhlati huwi
sang e reh se gah
bachti gah takrati huwi
chairti ja iss iraq e
dil nasheen ke saaz ko
ae musafir dil
samjhta hai teri awaz ko
laila e shab kholti
hai aa ke jab zulf e rasa
daman e dil khenchti
hai aabsharon ke sada
vo khamoshi sham ki
jis per takalum ho fida
vo darkhton per
tafakkur ka saman chaya huwa
kanpta phirta hai kya
rang e shafaq kohsar per
khushnuma lagta hai
ye ghazah tere rukhsar per
ae hamala! dastan uss
waqt ki koi suna
maskan e aabaay insan
jab bana daman tera
kuch bata uss seedhi
sadi zindagi ka majra
dagh jis par ghaza
rang e takalluf ka na tha
Haan dikha de ae
tasawwar phir woh subah o sham tu
dorh piche ki taraf
ae ghardish e ayyam tu
No comments:
Post a Comment