Friday, 29 August 2014

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai

Muhabbat mein muhabbat hi hamesha shart hoti hai
Magar kehtay hein kuch zimni si shart’ein bhi zarori hein


Koi wada karo to dil ki dharti per likho is ko
Jigar sey roshnai lo


Qalam jazb’on ka thamo aur dharkan sey gawahi lo
Ye jan jaye magar wadey pey koi anch na aaye


Muhabbat key safar mein pehli serhi per
Hamesha sey, khasara pehlay sey taiyar milta hai


Aur ungli tham ker chalta hai, jab tak saans baki hai
Muhabbat kernay waley mur ker dekha hi nahi kertay


Muhabbat kernay waley agar thak bhi jain to nahi ruktey
Bhaley sey per’on key chaley, dehakti rait sulghaye


Sawa nezay pey soraj an utrey aur jhulsaye
Key in key bal-muqabil to dehakta toor hota hai


Muhabbat to bohat anmol hoti hai magar is mein
Wafa mashrut hoti hai

No comments:

Post a Comment