Friday 8 August 2014

Payam-e-Subah

Ujala Jab Huwa Rukhsat Jabeen-e-Shab Ki Afshan Ka
Naseem-e-Zindagi Pegham Layi Subah-e-Khandan Ka

Jagaya Bulbul-e-Rangeen Nawa Ko Ashiyane Mein
Kinare Khait Ke Shana Hilaya Uss Ne Dehqan Ka

Tilism-e-Zulmat-e-Shab Surah Wan-Noor Se Tora
Andhere Mein Uraya Taj-e-Zar Shama-e-Shabistan Ka

Parha Khawabidgan-e-Dair Par Afsoon-e-Baidari
Barhman Ko Diya Pegham Khursheed-e-Durakhshan Ka

Huwi Baam-e-Haram Par Aa Key Un Goya Moazzan Se
Nahin Khatka Tere Dil Mein Namood-e-Mehr-e-Taban Ka?

Pukari Iss Tarah Deewar-e-Gulshan Par Khare Ho Kar
Chatak O Ghuncha-e-Gul! Tu Moazzan Hai Gulistan Ka

Diya Ye Hukm Sehra Mein Chalo Ae Qafile Walo!
Chamakne Ko Hai Juggnu Ban Ke Har Zarra Byaban Ka

Sooye Gor-e-Ghareeban Jab Gyi Zindon Ki Basti Se
To Yun Boli Nazara Dekh Kar Sheher-e-Khamoshan Ka

Abhi Aram Se Laite Raho, Main Phir Bhi Aun Gi
Sula Dun Gi Jahan Ko, Khawab Se Tum Ko Jagaun Gi

No comments:

Post a Comment