Phir Charagh-E-Lala
Se Roshan Huway Koh-O-Daman
Mujh Ko Phir Naghmon
Pe Uksane Laga Murg-E-Chaman
Phool Hain Sehra Mein
Ya Pariyan Qitar Andar Qitar
Ude Ude, Neele Neele,
Peele Peele Payrhan
Barg-E-Gul Par Rakh
Gyi Shabnam Ka Moti Bad-E-Subah
Aur Chamkati Hai Iss
Moti Ko Sooraj Ki Kiran
Husn-E-Beparwa Ko
Apni Be-Naqabi Ke Liye
Hun Agar Shehron Se
Bann Payare To Shehar Ache K Bann
Apne Mann Mein Doob
Kar Pa Ja Suragh-E-Zindagi
Tu Agar Mera Nahin
Banta Na Bann, Apna To Bann
Mann Ki Duniya! Mann
Ki Dunya Souz-O-Masti, Jazab-O-Shauq
Tann Ki Dunya! Tann
Ki Dunya Sood-O-Soda, Maker-O-Fann
Mann Ki Doulat Hath
Ati Hai To Phir Jati Nahin
Tann Ki Doulat Chaon
Hai, Ata Hai Dhan Jata Hai Dhan
Mann Ki Duniya Mein
Na Paya Mein Ne Afrangi Ka Raaj
Man Ki Duniya Mein Na
Dekhe, Mein Ne Sheikh-O-Barhaman
Pani Pani Kar Gyi
Mujh Ko Qalandar Ki Ye Baat
Tu Jhuka Jab Ghair Ke
Agay, Na Mann Tera Na Tann
No comments:
Post a Comment