Bazm-e-Jahan Mein
Main Bhi Hun Ae Shama! Dardmand
Faryad Dar Gira
Sift-e-Dana-e-Sapand
Di Ishq Ne
Hararat-e-Souz-e-Duron Tujhe
Aur Gul
Farosh-e-Ashak-e-Shafaq-Goon Kiya Mujhe
Ho
Shama-e-Bazm-e-Aysh Ke Shama-e-Mazar Tu
Har Haal Ashak-e-Gham
Se Rahi Humkinar Tu
Yak Been Teri Nazar Sift-e-Ashiqan-e-Raaz
Meri Nigah
Maya-e-Ashob-e-Imtiaz
Kaabe Mein, Bukade
Mein Hai Yaksaan Teri Zia
Main
Imtiaz-e-Dair-o-Haram Mein Phansa Huwa
Hai Shan Aah Ki Tere
Dood-e-Siyah Mein
Poshida Koi Dil Hai
Teri Jalwagah Mein?
Jalti Hai Tu Ke
Barq-e-Tajalli Se Door Hai
Be-Dard Tere Souz Ko
Samjhe Ke Noor Hai
Tu Jal Rahi Hai Aur
Tujhe Kuch Khabar Nahin
Beena Hai Aur
Souz-e-Darun Par Nazar Nahin
Main Josh-e-Iztirab
Se Seemabdar Bhi
Agah-e-Iztirab-e-Dil-e-Beqarar
Bhi
Tha Ye Bhi Koi Naaz
Kisi Be Niaz Ka
Ehsas De Diya Mujhe
Apne Gudaz Ka
Ye Aghi Meri Mujhe
Rakhti Hai Be-Qarar
Khawabida Iss Sharar
Mein Hain Atish Kade Hazar
Ye
Imtiaz-e-Riffat-o-Pasti Issi Se Hai
Gul Mein Mehak,
Sharab Mein Masti Issi Se Hai
Bustan-o-Bulbul-o-Gul-o-Bu
Hai Ye Aghi
Asal-e-Kashakash-e-Man-o-Tu
Hai Ye Aghi
Subah-e-Azal Jo Husn
Huwa Dilstan-e-Ishq
Awaz-e-‘KUN’ Huwi
Tapish Amoz-e-Jaan-e-Ishq
Ye Hukm Tha Ke
Gulshan-e-‘KUN’ Ki Bahar Dekh
Aik Ankh Le Ke
Khawab-e-Pareshan Hazar Dekh
Mujh Se Khabar Na
Puch Hijab-e-Wujood Ki
Sham-e-Firaq Subah
Thi Meri Namood Ki
Woh Din Gye Ke Qaid
Se Main Ashna Na Tha
Ziab-e-Darakht-e-Toor
Mera Ashiyana Tha
Qaidi Hun Aur Qafas
Ko Chaman Janta Hun Main
Ghurbat Ke Ghamkade
Ko Watan Janta Hun Main
Yaad-e-Watan
Fasurdagi-e-Be-Sabab Bani
Shauq-e-Nazar Kabhi,
Kabhi Zauq-e-Talab Bani
Ae Shama! Intihaye
Faraib-e-Khiyal Dekh
Masjood-e-Sakinan-e-Falak
Ka Maal Dekh
Mazmoon Firaaq Ka
Hun, Sureya Nishan Hun Main
Ahang-e-Taba-e-Nazim-e-Kaun-o-Makan
Hun Main
Bandha Mujhe Jo Uss
Ne To Chahi Meri Namood
Tehreeh Kar Diya
Sir-e-Diwan-e-Hast-o-Bood
Gohar Ko Musht-e-Khak
Mein Rehna Pasand Hai
Bandish Agarche Sust
Hai, Mazmoon Buland Hai
Chashm-e-Ghalat Nigar
Ka Ye Sara Qasoor Hai
Alam-e-Zahoor-e-Jalwa-e-Zauq-e-Shaur
Hai
Ye Silsila
Zaman-o-Makan Ka, Kumand Hai
Tauq-e-Gulooye
Husn-e-Tamasha Pasand Hai
Manzil Ka Ishtiaq
Hai, Gum Karda Rah Hun
Ae Shama! Main
Aseer-e-Faraib-e-Nigah Hun
Sayyad App,
Halqa-e-Daam-e-Sitam Bhi App
Baam-e-Haram Bhi,
Taeer-e-Baam-e-Haram Bhi App!
Main Husn Ke
Ishq-e-Sarapa Gudaz Hun
Khulta Nahin Ke Naaz
Hun Main Ya Niaz Hun
Haan, Ashnaye Lab Ho
Na Raaz-e-Kuhan Kahin
Phir Chir Na Jaye
Qissa-e-Daar-o-Rasan Kahin
No comments:
Post a Comment