Friday 8 August 2014

Shama-o-Parwana

Parwana Tujh Se Karta Hai Ae Shama! Pyar Kyun
Ye Jaan-e-Be-Qarar Hai Tujh Par Nisar Kyun

Seemabwaar Rakhti Hai Teri Ada Isse
Adab-e-Ishq Tu Ne Sikhaye Hain Kya Isse?

Karta Hai Ye Tawaf-e-Teri Jalwagah Ka
Phoonka Huwa Hai Kya Teri Barq-e-Nigah Ka?

Azaar-e-Mout Mein Isse Aram-e-Jaan Hai Kya?
Shaole Mein Tere Zindagi-e-Javidan Hai Kya?

Ghumkhana-e-Jahan Mein Jo Teri Zia Na Ho
Iss Tafta Dil Ka Nakhle-e-Tamana Hara Na Ho

Girna Tere Huzoor Mein Iss Ki Namaz Hai
Nanhe Se Dil Mein Lazzat-e-Souz-o-Gudaz Hai

Kuch Iss Mein Josh-e-Ashiq-e-Husn-e-Qadeem Hai
Chota Sa Toor Tu, Ye Zara Sa Kaleem Hai

Parwana, Aur Zauq-e-Tamashaye Roshni
Keera Zara Sa, Aur Tamanaye Roshni!

No comments:

Post a Comment