Shaur-o-Hosh-o-Khirad
Ka Maamla Hai Ajeeb
Maqam-e-Shauq Mein
Hain Sub Dil-o-Nazar Ke Raqeeb
Mein Janta Hun Jamaat
Ka Hashar Kya Ho Ga
Masael-e-Nazari Mein
Ulajh Gya Hai Khateeb
Agarche Mere
Nasheeman Ka Kar Raha Hai Tawwaaf
Meri Nawa Mein Nahin
Taair-e-Chaman Ka Naseeb
Suna Hai Main Ne
Sukhan Ras Hai Turk-e-Usmani
Sunaye Kon Usse Iqbal
Ka Ye Shair-e-Ghareeb
Samajh Rahe Hain Woh
Yourap Ko Hum-Jawaar Apna
Sitare Jin Ke
Nasheman Se Hain Zaida Qareeb!
No comments:
Post a Comment