Main Ne Chaqu Tujh Se
Cheena Hai To Chillata Hai Tu
Mehrban Hun Main,
Mujhe Na-Mehrban Samjha Hai Tu
Phir Para Roye Ga Ae
Nauwarad-e-Aqleem-e-Ghum
Chubh Na Jaye Dekhna!
Bareek Hai Nauk-e-Qalam
Ah! Kyun Dukh Dene
Wali Shay Se Tujh Ko Pyar Hai
Khail Iss Kaghaz Ke
Tukre Se, Ye Be-Azaar Hai
Gaind Hai Teri Kahan,
Cheeni Ki Billi Hai Kidhar?
Woh Zara Sa Janwar
Toota Huwa Hai Jis Ka Sar
Tera Aaeena Tha
Azad-e-Ghubar-e-Arzu
Ankh Khulte Hi Chamak
Utha Sharar-e-Arzu
Hath Ki Junbish Mein,
Tarz-e-Deed Mein Poshida Hai
Teri Soorat Arzu Bhi
Teri Nauzaeeda Hai
Zindagaani Hai Teri
Azad-e-Qaid-e-Imtiaz
Teri Ankhon Par
Haweda Hai Magar Qudrat Ka Raaz
Jab Kisi Shay Par
Bigar Kar Mujh Se, Chillata Hai Tu
Kya Tamasha Hai Raddi
Kaghaz Se Mann Jata Hai Tu
Aah! Iss Adat Mein
Hum Ahang Hun Main Bhi Tera
Tu Talawwan Ashna,
Main Bhi Talawwan Ashna
Arzi Lazzat Ka
Shaidai Hun, Chillata Hun Main
Jald Aa Jata Hai
Gussa, Jald Mann Jata Hun Main
Meri Ankhon Ki Lubha
Leta Hai Husn-e-Zahiri
Kam Nahin Kuch Teri
Nadani Se Nadani Meri
Teri Soorat-Gah
Giryan-Gah Khandan Main Bhi Hun
Dekhne Ko Naujawan
Hun, Tifl-e-Nadan Main Bhi Hun
No comments:
Post a Comment