Tu
Ae Aseer-E-Makan! La-Makan Se Door Nahin
Woh
Jalwagah Tere Khakdan Se Door Nahin
Woh
Marghzar Ke Beem-E-Khazan Nahin Jis Mein
Ghameen
Na Ho Ke Tere Ashiyan Se Door Nahin
Ye
Hai Khulasa-E-Ilm Qalandari Ke Hiyat
Khadang-E-Jasta
Hai Lekin Kaman Se Door Nahin
Faza
Teri Mah-O-Parveen Se Hai Zara Agay
Qadam
Uthao, Ye Maqam Asman Se Door Nahin
Kahe
Na Rahnuma Se Ke Chor De Mujh Ko
Ye
Baat Rahroo Nukta Dan Se Door Nahin
No comments:
Post a Comment