Tujhe Yaad Kya Nahin
Hai Mere Dil Ka Woh Zamana
Woh Adab
Gah-e-Mohabbat, Woh Nigah Ka Taziyana
Ye
Butan-e-Asar-e-Hazir Ke Bane Hain Madrasay Mein
Na Ada’ay Kafirana,
Na Taraash-e-Azrana
Nahin Iss Khuli Faza
Mein Koi Ghosh’ay Faraghat
Ye Jahan Ajab Jahan
Hai, Qafas Na Ashiyana
Rag-e-Taak Muntazir
Hai Teri Barish-e-Karam Ki
Ke Ajam Ke Mai Kadon
Mein Na Rahi Mai’ay Maghana
Mere Hum Safeer Isse
Bhi Asar-e-Bahar Samjhe
Inhain Kya Khabar Ke
Kya Hai Ye Nawa’ay Ashiqana
Mere Khaak-o-Khoon Se
Tu Ne Ye Jahan Kiya Hai Paida
Sila-e-Shaheed Kya
Hai, Tab-o-Taab-e-Javidana
Teri Banda Parwari Se
Mere Din Guzar Rahe Hain
Na Gila Hai Doston
Ka, Na Shikayat-e-Zamana
No comments:
Post a Comment