badalon kay siya ghoonghat mein
chand simta hua sa aaya hai
zindgii kay safar mein barson baad
waqt nay phir humien milaya hai
chand simta hua sa aaya hai
zindgii kay safar mein barson baad
waqt nay phir humien milaya hai
too bhi gum-sum hai aur mein bhi chup
jaisay khamoshiyon ka pehra ho
aansoun mein pighal rhay hain dil
zarb kaarii hai zakham gehra hai
jaisay khamoshiyon ka pehra ho
aansoun mein pighal rhay hain dil
zarb kaarii hai zakham gehra hai
yon hawa cheekhtii hai pairron mein
jaisay raqsaa’n khien balayien hain
aaj har shey mein ajnabiyet hai
kitni badlii hoii fizaaien hain
jaisay raqsaa’n khien balayien hain
aaj har shey mein ajnabiyet hai
kitni badlii hoii fizaaien hain
yeh haqeeqat hai khush-naseeb hon main
go tujhay phir say paa liya khho kar
haan! magar yeh bhi haqeeqat hai
too milli bhi to ghair kii ho kar
go tujhay phir say paa liya khho kar
haan! magar yeh bhi haqeeqat hai
too milli bhi to ghair kii ho kar
main bhi ab wo nahien jo pehlay tha
too bhi badlii hoii haqeeqat hai
is mulaqaat say bhii kya haasil
too kisi aur kii amanat hai
too bhi badlii hoii haqeeqat hai
is mulaqaat say bhii kya haasil
too kisi aur kii amanat hai
go nahien hosla judaii ka
ab yaqeenan yeh zehar pee loon ga
aaj tak haal e dil sunaya hai
aaj kay baad hont sii loon ga
ab yaqeenan yeh zehar pee loon ga
aaj tak haal e dil sunaya hai
aaj kay baad hont sii loon ga
shab kii in sa’aton mein jaan e aziz
aaj yeh ehad e aatsheen hoga
do dharaktay hoye dilon ka milaap
aaj kay baad phir nahien hoga
aaj yeh ehad e aatsheen hoga
do dharaktay hoye dilon ka milaap
aaj kay baad phir nahien hoga
No comments:
Post a Comment