aaj ki raat bi phir khawaab jagayein ge mujhay
phir wo kerwaT se khayaalooN ke tasalsul
ko mitanay ki kasheed e koshish
jism ke dard ko silwaT mein samo ke
wohi bistar pe TaRapte hovay, mehjoori e janaaN ko
kabhi aah, kabhi saans ki gehraai mein, shal kerne ki
sa’i e nakaam yeh bi maloom hei
yeh neem rassi, fehm ki deevaar talak jast
yeh saaye ki tasveer, kisi shakl o shabahatke tasalsul ke nishaan hein lekin
na’saboori, yeh badan toRti angRaiyaaN
hoontooN pe mehkti larzish
baat ko rabt ke aahung mein laanay ki talab
meere seenay ka dhuwaaN, aankhein sharaboor kiay
her bun e moo ki mulaqaat ka joya ker de
aankh chaRtay hovay dariya ki tarah hei pur’aab
paoon phislay hei tou phir saans ka rishta na rahe
hum tou chaaheiN magar iss dil ko yeh accha na lagay
jaaN’kunni hud se baRhi chaaragaro kuch tou karo!!!
No comments:
Post a Comment