Monday, 8 September 2014

Rahi hei hazrat e yazdaaN se dosti meri

Rahi hei hazrat e yazdaaN se dosti meri
Raha hei zuhd se yaarana istavaar mera
Guzar gayee hei taqadus mein zindagi meri
Dil ahrman se raha hei sateezakaar mera


Kisi pe rooh numaayaaN na ho saki meri
Raha hei apni umangooN pe ikhtiyaar mera
Dabaaye rakha hei seenay mein apni aahoon ko
Wahin diya hei shab o roz paech o taab unhein


Zabaan e shauq banaya nahin nigahoon ko
Kiya nahin kabhi wehshat mein bay’niqaab unhein
Khayaal hi mein kiya pervarish gunahoon ko
Kabhi kiya na jawani se behrayaab unhein


Yeh mil rahi hei mere zabt ki saza mujh ko
Ke ik zehr se labraiz hei shabaab mera
Azeeyutoon se bhari hei her ik baydaari
Muheeb o roohsataaN hei her ik khawaab mera


Fishaar e zabt se baytaab hei rubaab mera
Magar yeh zabt mere qehqahoon ka dushman tha
Pyaam e marg e jawaani tha ijtanaab mera
Lo aa gayee hein wo ban ker muheeb tasveerein


Wo aarzoo’ein ke jin ka kiya tha khooN mein ne
Lo aa gaye hein wohi paervaan e ahrman 
Kiya tha jin ko siyaasat se sarnigooN mein ne
Kabhi na jaan pe dekha tha yeh azaab e aleem


Kabhi nahin ay mere bakht e waazgooN mein ne
Magar yeh jitni azeeyut bi dein mujhay kam hei
Kiya hei rooh ko apni buht zabooN mein ne
Ussay na hone diya mein ne humnava-e shabaab


Na iss pe chalnay diya shoq ka fasooN mein ne
Ay kaash chhup ke kahin ik gunah ker leta
hilawatoon se jawani ko apni bhar leta
gunnah eik bi ab tak kiya na kyoon mein ne?

No comments:

Post a Comment