Thursday, 25 September 2014

Dard ki chadar main lipte

Dard ki chadar main lipte
chand palon ko socha main ne
har aik rasta har aik manzil
ruki hoi thi fiza main ab tak


koi bhi manzar 
alag nahi hai juda nahi hai
har aik rishta zamane bhar ki
ghata main lipta hoa hai jese


main kis nagar aur kis fiza ko apna manoo
k mujh se to meri apni sanson ne
rukh hai morra
tumhe b mujh pe rehem na aya


kabhi mera khayal na aya
badalte mosam ki dhun main tum bhi
badal gae rukh hawa ki tarha
main kis tarha tum se baat akrti


wo din wo raaten wo bekaran asmaan ki baaten
mere dil ki sunehri chadar main dab gae thin
tumhari yaadon ko orr kar
wo abdi neend ab so gae thin…..!

No comments:

Post a Comment