Friday, 12 September 2014

Gham-e-ashiqui se keh do rah-e-aam tak na pohanche

Gham-e-ashiqui se keh do rah-e-aam tak na pohanche
mujhe khauf hai ye tohmat maire nam tak na pohanche
main nazar se pee raha tha tou yeh dil ne bad-dua dii
taira haath zindagi bhar kabhi jaam tak na pohanche
naii subah per nazar hai magarr aah yeh bhi darr haii
ye seherr b raffta raffta kahin shaam tak na pohanche
unhain apne dil kii khabrein maire dil se mil rahi hain
main jo un se rooth jaaun tou pyaam tak na pohanche
yehh ada-e-be’nayazi tujhayy be-wafa mubarakk….
magar aisi be-rukhi kia ke salaam tak na pohanche
jo naqaab-e-rukh utha dii tou yeh qaid bhi lagaa dii
uthe harr nigah laikinn koii baam tak na pohanche
wohi ik khamosh naghma hai Shakeel` jaan-e-hasstii
jo zabaan tak na aaye jo kalaaam tak na pohanche

No comments:

Post a Comment