Friday, 12 September 2014

merii zindagii pe na muskaRaa mujhe zindagii kaa alam nahiiN

merii zindagii pe na muskaRaa mujhe zindagii kaa alam nahiiN
jise teRe Gam se ho vaastaa vo Khizaa’N bahaaR se kam nahiN
meRaa kufr haasil-e-zuud hai meRaa zuud haasil-e-kufR hai
meri bandagii vo hai bandagii jo rahiin-e-daiR-o-haram nahiN
mujhe raas aaye Khudaa kare yahi ishtibaah kii saa_ate’N
unheiN aitabaaR-e-vafaa to hai mujhe aitabaaR-e-sitam nahiN
vahi kaar’vaa’N vahii raaste vahi zindagi vahii maR’hale
magar apane-apane muqaam paR kabi tum nahiN kabi ham nahiN
na vo shaan-e-jabr-e-shabaab hai na vo rang-e-qahaR-e-itaab hai
dil-e-beqaRaar pe in dinoo’N hai sitam yahii ki sitam nahiN
na fanaa meRi na baqaa meRi mujhe ai ‘Shakeel’ na Dhuu.NDiye
maiN kisi kaa husn-e-Khayaal huuN meRaa kuch vujuud-o-adam nahiN

No comments:

Post a Comment