Hijr main khoon rulatay ho, kahan hotay ho?
Lot ker kyun nahin aatay ho, kahan hotay ho?
Jub bhi milta hia koi shaks baharon jesa
Mujh ko tum kesay bhulatay ho, kahan hotay ho?
Yaad aati hain akailay main tumhari neendain
Kis tarha khud ko sulatay ho, kahan hotay ho?
Mujh say bichray ho to mehboob-e-nazar ho kis kay
Aaj kul kis ko manatay ho, kahan hotay ho?
Shub ki tanhai main aksar yeh khayal aata hai
Apnay dukh kis ko sunatay ho, kahan hotay ho?
Mausam-e-gul main nasha hijr ka barh jata hai
Meray sub hosh churatay ho, kahan hotay ho?
Serd raaton main kesay tumhain bhula sakta hoon?
Aag si dil main lagaty ho, kahan hotay ho?
Tum to khushiyon ki rafaqat kay liye bichray thay
Ab agar ashk bahatay ho, kahan hotay ho?
Sheher kay log bhi ‘Wasiq’ yehi kertay hain sawal
Ab bohot kum nazar aatay ho, kahan hotay ho?
No comments:
Post a Comment