Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!
Safar main ab kay hawa ko bhi hamsafar na karoon
Ubhartay doobtay sooraj say torr loon rishta
Main sham orh kay so jaon aur sahar na karoon
Ab is say barh kay bhala kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher say guzroon, tujhe khaber na karoon!
Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansu’on ki wazahat main umer bher na kroon!
Ujar shab ki khalish ben kay bun main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko derbader na karoon!
Wo aik pal ko dikhai to day kaheen Mohsin
Main jan gunwa k bhi us pal ko mukhtasir na karoon!
No comments:
Post a Comment