Friday 5 September 2014

jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha-o-jaam bujh gaye hain

jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha-o-jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaraan ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain

wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh-e-rukh na shaam-e-wa’da
kiran koi arzoo ki lao ke sub dar-o-baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab ke burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gayay hain
qareeb aa ae mah-e-shab-e-gham, nazar pe khulta nahin kuch is dum
ke dil pe kis kis ka naqsh baqi hai, kaun se naam bujh gaye hain
bahar ab aa ke kaya kare gi ke jin se tha jashn rang-o-naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

No comments:

Post a Comment