kabhii yuu.N bhii aa merii aa.Nkh me.n ke merii nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar uske baad sahar na ho
vo ba.Daa rahiim-o-kariim hai mujhe ye sifat bhii ataa kare
tujhe bhuulane kii duaa karuu.N to duaa me.n merii asar na ho
mere baazuo.n me.n thakii thakii , abhii mahav-e-Khvaab hai chaa.Ndanii
na uThe sitaaro.n kii paalakii, abhii aahaTo.n kaa guzar na ho
ye Gazal ki jaise hiran kii aa.Nkho.n me.n pichhalii raat kii chaa.Ndanii
na bujhe Kharaabe kii roshanii, kabhii becharaaG ye ghar na ho
vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek din
vo gulaab ban ke khilegaa kyaa, jo chiraaG ban ke jalaa na ho
kabhii dhuup de, kabhii badaliyaa.N, dil-o-jaa.N se dono.n qubuul hai.n
magar us nagar me.n na qaid kar jahaa.N zindagii kii havaa na ho
kabhii din kii dhuup me.n jhuum ke kabhii shab ke phuul ko chuum ke
yuu.N hii saath saath chale.n sadaa kabhii Khatm apanaa safar na ho
mere paas mere habiib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dha.Dakano.n me.n basaa luu.N mai.n ke bichha.Dane kaa kabhii Dar na ho
No comments:
Post a Comment