Friday, 12 September 2014

Kai raahatain hain guzar gain

Kaii raahataiN hain guzar gaiiN ,kuch ghum rahay hain shumaar mein
Meray lafz bhii ab bhatak gaey teray lams kay khumaar mein
Ajab hay ye lutf-e-zamaaN, ke qadam qadam par aasmaaN
Yuun ban kar kaii zaib-e-sehar , phir kho gaey hain ghubaar mein
Har Aankh mein hairaaniyaaN, hain Ruuh kii taghyaaniyaaN
Har shakhs hii majboor hay ,uss zaat kay hisaar mein
Banaaey thay kaii raastay , kisii ajnabi kay waastay
Par huwey khud hi ajnabi puhanch kar koo-e-yaar mein
Wo thay yahaan par jo makeeN jis nay pukaar na sunii
Sab sar-kashii mein mit gaey, kuch jaa basay aasaar mein
Kuch miT gaey jo reh gaey, moj-e-wafaa mein beh gaey
Kyon dhoondhay mujh ko dar-ba-dar, ab waqt ujRay dayar mein
Kab tak ramooz-e-qafs bhii, dekhain adaaiN lafz kii
Ke nahi gohar-e-qarar ab, har seep-e-aah-o-zaar mein
Humain aarzoo ab nahin rahii, ke waqt thamay tou sahii
Ke na dil-numaai hay mujh mein ab, na wuh chaashni hay bahaar mein

No comments:

Post a Comment