Friday 5 September 2014

Mera ik almiyah hey


Mera ik almiyah hey
meiN khud sey kuch nahi likhti
hazaaroN koshishoN sey bhi kabhi likh hi nahi paai
magar haaN…..!
jab koi dard milta hey
kisi be-dard apney sey
yaa lamhoN k aaNgan meiN
koi khush-kun Gul nikhartaa hey
tou ehsaas sey labreiz aik lafz banta hey
khayaaloN k nihaaN-khaanoN meiN
hasaas sey kuch shelf rakhey heiN
wuh lafz un meiN tarteeb sey ruktey jaatey heiN
aesa har roz hotaa hey
merey iss shelf ki gehraai baRhti jaati hey
buhat sey qeemati kaanch k alfaaz sajtey jaatey heiN
phir…..
hujoom-e-zarf baRhta hey
tab saakan-o-be sakuun lafzoN meiN
khaamosh aaNdhiyaan chalney lagti heiN
tou saarey kaaNch sey tukRey dil meiN chubhtey jaatey heiN
aankhoN sey zabt ki zajreer ki kaRiyaaN bikharney lagti heiN
tou meri tehreer banti hey…!
meiN khud sey kuch nahi likhti…kabhi likh hi nahi paati!!!

No comments:

Post a Comment