Friday 5 September 2014

ye kaun doob gya aur ubhaar gaya mujh main

ye kaun doob gya aur ubhaar gaya mujh main
yu kaun saye ki suraat guzar gaya mujh main
ye kis kay sog mai shorida haal phirta ho’n
woh kon shakhs tha aisa kay mar gaya mujh main
ajab hawa-e-baharaa’n nay chara-saazi ki
woh zakhm jis ko na bharana tha bhar gaya mujh main
woh admi kay jo pathar tha jiee raha hai abhi
jo ainna tha woh bikhar gayaa mujh main
misaal kya kay woh jab bhi kareeb say guzara
vo youun laga kay koi raqs kar gaya mujh main
woh sath tha to ajab dhuup chanaoo rehti thi
bas ab to ek hi mausam tehar gaya mujh main

No comments:

Post a Comment