Friday 5 September 2014

Aey Gardish-e-dauraaN Umr-e-rawaaN

Aey Gardish-e-dauraaN, Umr-e-rawaaN
kuch pal k liye sastaaney dey
ye naatey, reet,ye rasm-o-rawaah
in sab sey aankh churaaney dey
ye jabr-e-musalsal rishtoN ke
ye bandhan aansoo aahoN ke
ab zanjeereiN si lagti heiN
in zanjeeroN sey pal do pal
thoRi si mujhey azaadi dey
aey Umr-e-rawaaN kuch Thehr zaraa
aey dil ki khalish kuch chain tou ley
iss dasht-e-alam meiN deeda-e-num
kuch khawaab sey dekha karti heiN
khush-fehmi ke behlaawoN sey
kuch harf tassali deti heiN
iss tanj-o-alam ney toRa hey
kuch aur ghumoN meiN chhoRa hey
ye rishtoN ki zanjeereiN ab tou
saath Sada ki saathi heiN
ye toR bhi kaesey saktey heiN
aey Umr-e-rawaaN kuch pal ke liye
asooda nagar meiN jaaney dey
uss shokh nazar sey poochh tou leiN
iss raah pe kyuN ye paagal dil
anjaani layh pe dhaRka hey?
iss moR pe kyuN ye daaman dil
phir kis ke aagey phaila hey?
ye nazreiN unki raahoN meiN
kyuN sajdah-raizii karti heiN?
ye bharm-o-anaa ki deewaareiN
iss karb-o-junooN sey haari heiN
aey gardish-e- dauraaN tuu hi bataa
iss Simt pe chal kar kya hogaa?
iss dard ka darmaaN kya hogaa?
iss roG ka marham kya hogaa?
iss dard ka haasil Hijr hey kya?
iss raah ka haasil hijr hey kya?
aey Umr-e-rawaaN kuch tu hi bataa

No comments:

Post a Comment