Sunday 7 September 2014

Mujhay apnay lafzon ki khusboon main rakhna

Mujhay apnay lafzon ki khusbo’on main rakhna 
Mujhay zaat kay ista’aron main rakna 
Mujhay apnay aangan main jhuktay
huay chand taron main rakhna 
Meray chund khut hain jinhain main nay 
Apnay lahoo ki sadaqat say likha tha tum ko 
Meray chund lamhay hain jin main 
Sada’on ki pakeezgi say pukara tha tum ko 
Meray chund lehjay hain jin main 
Tumhari hi tarz-e-takhatub ka rung aa chala tha 
Meray chund jumlay hain jin ki 
Sama’at liye ab tumhain ik muddat hui 
Meri kuch pasandeedah batain bhi hain 
Jin ko hasil tumhari pasandeedgi thi 
Meri kuch kitabain hain 
Jo tum nay shaid yunhi mang li theen 
Mera ik mazi hai 
Jis ko tumhari rafaqat nay mazi ka mafhoom bakhsha 
Mera ik aaindah tha Jis kay aaina khanon mai 
Aks aashna thay tumharay tarasheeda abroo, hijr si jabeen aur khaabon si aankhain 
Meri chund khushiyan theen jin pe tumhari 
Qamat ka saya-e-afreen tha 
Woh aik phool jis ko kabhi tum nay 
Saaray phoolon say chun ker rukh liya tha 
Unhain aur kuch aur baton ko bhi 
Apni yadon main rakhna 
Unhain guftogoo kay kinaron main rakhna 
Isharon main rakhna 
Unhain zaat kay ista’aron main rakna

No comments:

Post a Comment