ye jo sar gushta se phirte hain kitabon vaalay
in se mat mil ke inhain rog hain khuwabon vaalay
ab mah-o-saal kii mohalat nahii.n milane vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo.n vaalay
ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaa.N bolate hai.n
ab kahaa.N log muhabbat ke nisaabo.n vaalay
jo dilon per hi kabhi naqub zani karte thay
ab gharon tak chalay aaye hain niqabon vaalay
zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hai.n
faaKhtaao.n ke bhii kirdaar uqaabo.n vaalay
na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa
ab ke mausam hii nahii.n aaye gulaabo.n vaalay
yun tau lagta hai ke qismat ka sikandar hai faraz
magar andaz hain sab khana kharabon vaalay
No comments:
Post a Comment