Monday, 8 September 2014

MUJHAY US SE MOHABBAT HAI

Wo mujh se nahi kehta …
Key usay mujh sey mohabbat hai …
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai …
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai …
Woh mujh se baat karta hai …


Bohot hi aam si, mousam ki, logoon ki …
Meyhaz dunya ki rasmi si …
Woh mujh se baat karne key, bahane dhoondta hai un hawaloon se …
Samaghta hai main us ki aam si baatoon ko bas “yoonhi” samaghti hoon …
Woh milta hai aksar bahanoon se …


Key main guzar raha tha yahan se tou socha key baat hi kar loon …
Samaghta hai key main us key in bahanoon ko na janoongi …
Kabhi jo phone karta hai …
Tou us ki mohabbat us key lehje se chalakti hai …
Mujhay bechain karti hai …


Woh mera dehaan rakhta hai …
Meri har baat ko hi bin kahe jaan leta hai …
Samaghta hai woh ye phir bhi …
Key us ne khud ko chupa rakha hai khud hi se …


Magar aksar …
Woh khud anjane main apna ye parda chaak karta hai …
Key jab meri – bohot pehle kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai …
Aur unhi lafzoon main mere saamne dohra bhi deta hai …
Youn lagta hai …


Key us ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai …
Woh jaise aik Sahifa ho …
Woh mujh se ye nahin kehta …
Key us ki khuahish us ko bohot bechain rakhti hai …
Ya shayad in dinoon woh khud se bhi chupata hai …


Magar …
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain …
K saray Jame-e-ulfat k woh bhar bhar kar lutati hain …
Woh darta hai k kahin woh kho na de mujh ko …
K koi baat us ki mujh ko us se duur na kar de …


Woh mujh ko soochta hai …
Jaagta hai raat bhar woh bhi …
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ….
Khamooshi se hi jalna hai …


K woh jab tak parh nahin leta …
Ye aankhain, jis main k us ka naam likha hai …
K mere laho ki gardishoon main raqs karti chahatain us ki …
Woh jab tak paa nahin leta …


Samagh leta nahin jab tak …
K main bhi gaamzan hoon …
Khamooshi se us k raaste par …
Main bhi jaagti hoon, soochti hoon raat bhar us ko …
Magar us se nahin kehti …


K …
“MUJHAY US SE MOHABBAT HAI” …

No comments:

Post a Comment