Monday 8 September 2014

Taaza Hain Abhi Yaad Main Aay Saaqi-e-gulfaam

Taaza Hain Abhi Yaad Main Aay Saaqi-e-gulfaam
Wo Aks-e- Rukh-e-yaar Se Lihkay Huay Ayyaam 
Wo Phool C Khilti Hui Deedaar Ki Saa’at
Wo Dil Sa Dharakta Hua Umeed Ka Hangaam 


Umeed,k Lo Jaaga Gham-e-dil Ka Naseeba
Lo Shoq Ki Tarsi Hui Shab ho Gayi Aakhir
Lo Doob Gaey Dard K Be-khwaab Sitaray
Ab Chamkay Ga Bay-sabr Nigaahon Ka Muqaddar


Is Baam Se Niklay Ga Tere Husn Ka Khursheed
Us Kunj Se Phootay Gi Kiran, Rang-e-Hina Ki 
Is Dar Se Bahega Teri Raftaar Ka Seemaab
Us Raah Pay Phelay Gi Shafaq Teri Qaba Ki 


Phir Dekhay Hain Wo Hijr K Taptay Huay Din Bhi
Jab Fikr-e Dil-o-Jaan Main Fughaan Bhool Gaee Hai 
Har Shab Wo Siyah Bhooj K Dil Baith Giya Hai 
Har Subh Ki Low Teer C Seenay Main Lagi Hai 


Tanhai Main Kya Kya Na Tujay Yaad Kia Hai 
Kya Kya Na Dil-e-zaar Ne Dhoondi Hain Panaahen
Aankhon Se Lagaaya Hai Kabhi Dast-e-saba Ko
Daali Hain Kabhi Gardan-e-mahtaab Main Bhaahain


Chaaha Hai Isi Rang Main Laila-e-watan Ko 
Tarpa Hai Isi Tor Se Dil Is Ki Lagan Main
Dhoondi Hain Yunhi Shoq Main Aasaaish-e-manzil
Rukhsaar K Kham Main,kabhi Kaa’kul Ki Shikan Main
Is Jaan-e-jahan Ko Bhi Yunhi Qalb-o-nazar Nay


Hans Hans K Sada Di,kabhi Ro Ro K Pukaara
Pooray Kiye Sab Harf-e-tamanna K Taqaazay
Har Dard Ujaala,har Ek Gham Ko Sanwaara
Wapas Nahi Phera Koi Farmaan JunuN Ka 


Tanha Nahi Loti Kabhi Aawaaz Jaras Ki 
Khairiat-e-jaan,raahat-e-tan,sehat-e-daamaN
Sab Bhool Gaeen Maslehaten Ehl-e-hawas Ki
Is Raah Main Jo Sab Pay Guzarti Hai Wo Guzri


Tanha Pas-e-zindaN,kabhi Ruswa Sar-e-baazaar
Garjay Hai Bohot Shaikh Sar-e-gosha-e-mimbar
Karkay Hai Bohot Ehl-e-hakam Barsar-e-darbaar
Chora Nahi GhairoN Nay Koi Naawak-e-dishnaam


Chooti Nahi ApnoN Se Koi Tarz-e-malaamat
Is Ishq Na Us Ishq Pay Naadim Hai Magar Dil
Har Daagh Hai Is Dil Main Bajuz Daagh-e-Nidaamat

No comments:

Post a Comment