Friday 5 September 2014

us ne sakoot-e-shab main bhi apna payam rakh diya

us ne sakoot-e-shab main bhi apna payam rakh diya
hijr ki raat baam per mah-e-tamam rakh diya
aamd-e-dost ki naveed koo-e-wafa main aam thi
main ne bhi ik charagh sa dil sare-e-shaam rakh diya
shidat-e-tishnagi main bhi ghairat-e-mai kashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
dekho ye mere khawab thay, dekho ye mere zakhm hain
main ne tu sub hisaab-e-jaan bar sar-e-aam rakh diya
us ne nazar nazar main hi aisay bhalay sukhan kahay
main ne tu us ke paaon main sara kalam rakh diya
aur faraz chahiyain kitni muhabattain tujhay
maon ne tere naam per bachon ka naam rakh diya

No comments:

Post a Comment