Thursday 9 October 2014

Ajeeb Rastey Hain Zindgii Key

Ajeeb Rastey Hain Zindgii Key
Wo Jo Bahaar Ki Aabroo Tha
Hazaar Rangon Ki Justajoo Tha
Zamaney Bhar Mein Aziz Keh Kar
Mohabbaton Ka Ameen Keh Kar
Wo Jis Ko Poonam Ka Chaand Keh Kar Pukaartey They
Wo Khud-Fraibii Mein Kho Kar Apni Tamam Simton Ko Khud Hi Bhoola
Ab Us Key Chehrey Pey Ajnabiyet Hai
Us Kii Baaton Mein Dostii Key Azeem Bandhan Key Tootney Kii Ajab Khabar Hai
Ajeeb Rastey Hain Zindgii Key
K Hum Ney Jo Bhi Khyaal Dil Mein Sajaye Rakha
Wo Khwaab Ban Kar Bikhar Gye Hain
Sawaal Jism Aur Jaan Key Jo Bachaaye Rakhey
Jawaab Key Ab Bhi Muntazir Hain
Shikaayaton Ka Hisaab Hoga
Hum Apney Khoon Sey Likhien Gey Ab Eik Aisa Naghma
K Jis Ka Unwaan Saraab Hoga
Jo Zehan O Dil Key Sabhi Sahaaron Key Tootney Ki Kitaab Hoga
Waffa Mein Haarey Hoye Be-Chaaro
Ajeeb Rastey Hain Zindgii Key
Kabhi Daleel E Bahaar Hain Yeh
Kabhi Yeh Sadiyon Ki Justajoo Ko
Bus Aik Sa’at Men Khaat O Khoo Mein Dubo Key
Hum Sey Sawaal Poochien K Kon Ho Tum ??
Khaan Sey Aaye Ho ??
Ajnabii Ho ?
Yeh Kin Khyaalon Key Ho Gye Ho?
Yeh Kin Sawaalon Mein Kho Gye Ho?

No comments:

Post a Comment