Thursday 9 October 2014

Buhut takheer se lekin

Buhut takheer se lekin
khula ye bhaid khud per bhi
k main ab tak muhabat jaan kar jis

jazba-e-derina ko apne laho se senchti aiye
wo jis ki sas’at-e-sad mehrban hi zindagi ki shart thri thi
faqat shaiyeba hi tha mohabat ka
yunhi adat thi har raste pe us k sath chalne ki

wagarna tarke khwahish per
ye dil thora sa tu dukhta 
Zara si Ankh nam hoti

No comments:

Post a Comment