Tuesday 14 October 2014

Chalo chorho Muhabbat jhoot hai

Chalo chorho
Muhabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughl hai baikaar logon ka
“Talab” sookay huway patton ka baironuq jazeera hai
“Khulish” deemuk-zuda awraaq pur boseeda sutron ka zakheera hai
“Khumaar-e-wusl” tuptee dhoop ke seenay pe Urhthay badlon ki raaigan bukhshish
“Ghubar-e-Hijr” sehra main sarabon say atey mosum ka khamyaza
CHALO CHORHO
Ke ab tuk main andhairon ki dhumuk main saans ki zarbon pe
Chahut ki bina ruk kar safar karta raha tha
Mujay ihsas hi kub tha
Ke tum bhee mosumon ke saat apnay peruhun kay rung badlogi
CHALO CHORHO
Wo saray khwab kuchee bhurbhuree muttee ky baiqeemut gharonday they
Wo saray zaaiqey mairee zuban pur zukhm bun kar jum gaye hongay
Tumharee unglion ki nurm porain puthuron pe naam liktee thee mera laikin
Thumharee unglian tho aadtun ye jurm karthee thee
Chalo chorho
Safar main ajnubee logon say aisay haadsay surzud huwa karthay hai
Sadion say
CHALO CHORHO
Mera hona nu hona ik barabar hai
Tum apnay khaal-o-khud ko aayeenay main phir nikurnay do
Tum apnee aank ki bustee main phir say ik naya mosum uturney do
“meray khwabon ko murnay do”
nuyee tasweer daiko
phir naya maktoob liko
phir nuye mosum nuye lafzon say apna silsila jorho
meray maazee ki chaahut raayegaan sumjo
meree yaadon say kuchey raabitay torho
chalo chorho
muhabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughl hai baikar logon ka

No comments:

Post a Comment