Tuesday 14 October 2014

Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata

Ik shakhs ke kho janay ka dar kiyun nahin jata
ye bojh meray dil se utar kiyun nahin jata
manzil pe puhanch ker bhi usay khona pade ga
ye tay hai to phir shauq-e-safar kiyun nahin jata
main jab bhi tarashon, tera paikar hi tarashon
ye zauq-e-nazar, ye shauq-e-hunar kiyun nahin jata
ye waqt tujhay mujh se juda kar to raha hai
ye waqt issi waqt thehar kiyun nahin jata
gar tujh se bicharnay ka hay ranj mujhay itna
tu main shiddat-e-jazbaat se mar kiyun nahin jata

No comments:

Post a Comment