Thursday 9 October 2014

Hosle Mere Faqat Tere Muqaabil Toote

Itne Gehre The Meri Jaan Rawabit Tum Se
Todne Chahe Jo Humne To Bamushkil Toote
Jo Zamane Ki Nigahon Se Chhupa Rakhe The
Waqt-E-Aakhir Woh Taa’luq Sar-E-Mehfil Toote
Sar Kiye Maa’rka-E-Zeest Badi Himmat Se
Daagh Daaman Pe Kisi Baat Pe Aane Na Diya
Tujh Se Izhaar-E-Mohabbat Bhi Magar Kar Na Sake
Hosle Mere Faqat Tere Muqaabil Toote
Husn Phoolon Ka Hi Banta He Tabaahi Ka Sabab Dosto
Khaar-E-Mugheelaan Nahi Nouche Jate
Aap Tareekh-E-Gulistaan Utha Kar Dekhein
Is Mein Bus Shaakh Se Gul Deed Ke Qabil Toote
Mere Paikar Mein Nazakat Hai Gulonki Aur
Main Qaid Hoon Aahani Zanjeer Mein Ek Muddat Se
Azm-E-Parwaaz Mein Phir Bhi Hai Hararat Itni
Arsh Chhoo Loonga Agar Band-E- Salasil Toote
Koh-E-Ghum Teri Mohabbat Ka Gira Hai Mujh Par
Sangraizon Men Badal Jana Mera Wajib Hai
Mit Gaye Hote Jo Yaklakht To Achha Hota
Yeh Qayamat Hay Ke Hum Toote Pa Til Til Toote,
Dast Basta Ya Husaini Ki Duaa Hai Ya Rab
Umr Bhar Ashk Bahane Ko Na Zindaa Rakhna
Bhej Dena Tu Mere Naam Pay Paighaam-E-Ajal
Isse Pehle Ke Mohabbat Mein Mera Dil Toote

No comments:

Post a Comment