Thursday 9 October 2014

ik Anchal se bandha hai sab kuch

ik Anchal se bandha hai sab kuch
ik tasweer
aur tasveer pe bheege huiye honth
ik sandal ki unabi pencil


ik be rabt sa ukhra huwa khat
ik adad card
jis ko chone se teri yaad chali ati hai
aur us card main rakhi huiye ikloti palak


jis se manoos duaoon ki mehak ati hai
kisi gumnam se shair ka adhora misra
ik bazeeb se bichra huwa ujla mooti
ik murjhaiye huiye zard chameli ki kali


jis main ab bhi teri zulfon ke bhanwar lipte hain
ik boseeda Q paper
jis k kone pe likha naam abhi taza hai
sharbati kanch ki totti huiye nazuk choori


ik tota huwa halka sa gulabi nakhun
ik gadla sa tissue paper bhi
jis pe mehke huiye ashkon k nishan zinda hain
yehi dolat hai yehi kuch hai asasa mera


ik anchal se bandha hai sab kuch
ik bheege huiye anchal se bandha hai sab kuch

No comments:

Post a Comment