Tuesday 14 October 2014

Jinhein jurm-i-ishq pay naaz tha woh guneehgaar chaley gaye

Tery gham ko jaan ki talash thi ,tery jaan nisar chalay gaye
Teri reh mein kertey they ser talab , sar-i-rah guzar chaley gaye
Teri kaj-adai sey haar key shab-i-intizaar chali gayi
Mery zabt-i-haal sey roth ker mery ghum-gissar chaley gaye
Na sawal-i-wasal na arz-i-gham na hikayateein na shikayateein
Tery ahad mein dil-i-zaar key sabhi ikhtiyaar chalay gayee
Yeh humein they jin key libaas per sar-i-rah sayahi likhi gayi
yehi daakh they jo saja ker hum sar-i-bazm-i-yaar chaley gaye
Na raha junoon-i- rukh-i-wafa yeh rasan yeh dar karo gay kiya
Jinhein jurm-i-ishq pay naaz tha woh guneehgaar chaley gaye

No comments:

Post a Comment