Tuesday 14 October 2014

MehfileN luT gayeeN jazbaat ne dam toR diya

MehfileN luT gayeeN jazbaat ne dam toR diya
Saaz khamosh haiN naghmaat ne dam toR diya
Har mussarrat ghame deroz ka unwaan bani
Waqt ki Gaud maiN lamhaat ne dam toR diya
Un-gint mehfileN mehroom-e-charaghaN haiN abhi
Kon kehta hai ke zulmaat ne dam toR diya
Aaj phir bujh gaye jal jal ke umeedoN ke charaagh
Aaj phir taaroN bhari raat ne dam toR diya
Jin se afasana-e-hasti maiN tasalsul tha kabhi
Un mohabbat ki ravayaat ne dam toR diya
Jilmalaate huay ashkoN kii laRi TuuT gayee
Jagmagaati huee barsaat ne dam toR diya
Haaye adaab-e-mohabbat ke taqaaze Saghir
Lab hillay aur shikayaat ne dam toR diya

No comments:

Post a Comment