Tuesday 14 October 2014

Yoheen besabab na pehra karo koi shaam ghar bhi raha karo

Yoheen besabab na pehra karo koi shaam ghar bhi raha karo
woh GHAZAL ke suche ketaab hai use chupkay cupkay pahra karo
koi hath bhi na milAyay ga jo galay milo gay tapak se
yeh nayay mezaaj ka sahar hai zara faslay se mila karo
abhi rah mein kae mor hain koi ayay ga koi jayay ga
tumhein jis kese ne bohla diya use bohlanay ko duaa karo
mujhe ishtehAr se lagte hai yeh mohabbaton ke kahanian
jo kaha nahi woh suna karo jo suna nahi woh kaha karo
khabhi husan parda nasee bhi ho zara ashiqana lebaas mein
mein jo ban sanwar ke kahien chalo meray sath tum bhi chala karo
nahi bayhajaab woh chand sa ke nazar ka koi asar na ho
isay itne garme-e-shooq se bare deer tak nahi taka karo

No comments:

Post a Comment