Tuesday 14 October 2014

Suna hai tum bohat masroof ho

Suna hai tum bohat masroof ho
Masroof to itney keh fursat tum se milne ko tarasti hai
Suno! Masroofiyat ke dairay ko paat kar
Fursat se milne ka kabhi moqa mile to


Sub se pehlay khud se milna
Phir faraghat ka koi lamha bache to
Gham ke num alood rastoon par kaheen se dhoop la rakhna
Bhatki Shaam se purwa ke dheemay geet sun’na


Ahaton ki titliyon ke rang chun’na
Baadlon ki dhund main chupte huey

manzaron se tasveerain bana’na
Phir bhi gar fursat ki poonji bachi rahey to


Aaina-ro sa’aton ke aks aankhon main sajana
Waqt ke sahil pe geeli rait se ek ghar bana’na
Haath ke mehraab se dil ke diey ki

thartharati lo ko bujhne na dena

Pairon ke daman se lipti chaon main

mehki hui baatain chupana
Aur parindon ke chehak se nazm ke Misray bana’na
Ya palkon ke aut se chanti hui kirno se yaadon


Ke dhanak bharna Gar nahi to
Kaasni phoolon ke soorat man ke soone pan main khilna
Phir bhi gar Fursat Mile to MUJH SE MILNA!

No comments:

Post a Comment