Thursday 9 October 2014

Kabhi ghar se nikal kar tum ne

Kabhi ghar se nikal kar tum ne 
sarma ki thitharti chandani shab main
akele chand ko dekha?
kabhi sunsan baghoon main
kisi tanha rawish per chalte chalte, chand se poocha
k wo tum se ziyada muztarib kiyun hai?
magar tum!

band kamre k makeen ! 
khwabon k shahzade!
nikal kar garm kamre se
kahan jao gaiye adhi raat ko sunsan baghon main?
akele chand se bateen tu wo mazloom karte hain
jinheen ghar k dar-o-dewar bhi
dhutkar dete hain
jinhaiyen apni hi awazoon k khanjar 
maar dete hain!

No comments:

Post a Comment